“zinda hoon mai”
aaj sunani hai tumhe apni kahani…
khud ki hi jubani….
tumpe mar-mita hoon mai,
par tumhe toh khabar hi nahi,
kya geela mai tumse karu,
tumhe toh kuch pata hi nahi,
bewafa bhi toh nahi kah sakta tumhe,
kyunki jo kaha maine, woh tumne suna hi nahi….
bas yeh hai meri kahani,
tanhaiyon ki jubani,
sannata yeh mujhse kehta hai,
kyun bewajah tadapta hai,
kante har pal yaadon ke daman se chunta hoon,
tumse milne ki aas liye ladkhadate kadmo par khada hoon….
shayad mai hi aashiq nirarthak hoon,
jo kuch bhi apne pyaar ke liye nahi kar pa raha hoon,
tumne toh samjhaya bhi hai isharon se,
shayad mai hi samajh nahi pa raha hoon….
khair jakhm apne khud hi kuredta hoon,
apni kahani khud ko hi sunata hoon…
dukh hi toh jeevan ki katha rahi,
kya kahun aaj jo nahi kahi…
pyaar ke ish path par mere karya sakal,
hokar rah gaye poori tarah bifal….
phir bhi jaane kyun mai zinda hoon…?
shayad apni kahani tumhe sunane ko mai zinda hoon,
dil gam ke kaanto se lathpath pada hai,
phir bhi sannato me tumhari aawaze sunne mai zinda hoon,
aankh har pal lahoo nichod rahi hai,
phir bhi tumhe dekhne ki aas liye mai zinda hoon…
haan mai zinda hoon,
par ab aur nahi saha jata …
aakar tham lo yeh haath mera.
kyunki mai bhi nahi janta hoon,
ki mai kab tak zinda hoon…………!!!
April 15th, 2008 at 9:53 pm
awaiting ur feedback on dis…