Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
honay wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko keh kar apna banaya nahi jata
Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nahi,
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Hum Maan Bhi Jaatey,
Par Kya Kare Kasoor Hamara Hume Bataya Hi Nahi